Loading
'inshā'-jī uTho ab kuuch karo is shahr meñ jī ko lagānā kyā'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
'inshā'-jī uTho ab kuuch karo is shahr meñ jī ko lagānā kyā vahshī ko sukūñ se kyā matlab jogī kā nagar meñ Thikānā kyā
is dil ke darīda dāman ko dekho to sahī socho to sahī jis jholī meñ sau chhed hue us jholī kā phailānā kyā
shab biitī chāñd bhī Duub chalā zanjīr paḌī darvāze meñ kyuuñ der ga.e ghar aa.e ho sajnī se karoge bahānā kyā
phir hijr kī lambī raat miyāñ sanjog kī to yahī ek ghaḌī jo dil meñ hai lab par aane do sharmānā kyā ghabrānā kyā
us roz jo un ko dekhā hai ab ḳhvāb kā aalam lagtā hai us roz jo un se baat huī vo baat bhī thī afsānā kyā
us husn ke sachche motī ko ham dekh sakeñ par chhū na sakeñ jise dekh sakeñ par chhū na sakeñ vo daulat kyā vo ḳhazānā kyā
us ko bhī jalā dukhte hue man ik sho.ala laal bhabūkā ban yuuñ aañsū ban bah jaanā kyā yuuñ maaTī meñ mil jaanā kyā
jab shahr ke log na rastā deñ kyuuñ ban meñ na jā bisrām kare dīvānoñ kī sī na baat kare to aur kare dīvānā kyā
انشاء جی، اب اٹھو اور یہاں سے نکل جاؤ، اس شہر میں دل لگانا بےکار ہے۔ جنگلی کو سکون سے کیا مطلب، جوگی کا شہر میں ٹھکانہ کیا۔
اس دل کے پھٹے ہوئے دامن کو دیکھو اور سوچو۔ جس جھولی میں سو سوراخ ہیں، اس کو پھیلانے کا کیا فائدہ؟
رات گزر گئی، چاند بھی ڈوب گیا، دروازے پر زنجیر پڑی ہے۔ کیوں دیر سے گھر آئے ہو، محبوبہ سے کیا بہانہ کرو گے؟
پھر جدائی کی لمبی رات ہے، ملاقات کا یہی ایک لمحہ ہے۔ جو دل میں ہے، اسے کہہ دو، شرمانا اور گھبرانا چھوڑو۔
جس دن انہیں دیکھا تھا، اب وہ خواب جیسا لگتا ہے۔ جس دن ان سے بات ہوئی، وہ بھی کہانی جیسی تھی۔
اس حسن کے سچے موتی کو ہم دیکھ سکتے ہیں، مگر چھو نہیں سکتے۔ جسے دیکھ سکتے ہیں، مگر چھو نہیں سکتے، وہ دولت کیا، وہ خزانہ کیا؟
اس کو بھی جلا دو، دکھتے ہوئے دل کو شعلہ بنا دو۔ یوں آنسو بن کر بہہ جانا کیا، یوں مٹی میں مل جانا کیا؟
جب شہر کے لوگ راستہ نہ دیں، تو جنگل میں جا کر آرام کیوں نہ کریں؟ دیوانوں کی طرح بات نہ کریں، تو اور کیا کریں؟